Ghazal

Doosron ko hamaari sazaayen na de
chaandni raat ko bad-duaayen na de

phool se aashiqi ka hunar seekh le
titliyaan khud rukengi sadaayen na de

sab gunaahon ka iqraar karne lagen
is qadar khoobsoorat sazaayen na de

motiyon ko chhupaa seepiyon ki tarah
bewafaon ko apni wafaayen na de

main bikhar jaaoonga aansoo ki tarah
is qadar pyaar se bad-duaayen na de!!!

*******************************************


Hazaar gam the, meri zindagi akeli thi
khushi jahaan ki, mere waaste paheli thi

wo aaj bach ke nikalte hain mere saaye se
ki main ne jin ke liye gam ki dhoop jheli thi

judaa hui na kabhi mujh se gardish-e-dauraan
meri hayaat ki bachpan se ye saheli thi

chadha rahe hain wo hi aaj aasteen mujh par
ki jin ki peeth pe kal tak meri hatheli thi

ab un ki qabr pe jaltaa nahin diyaa koi
ki jin ki dahar mein roshan bahut haveli thi

wo jhuk ke phir meri turbat pe kar rahe hain salaam
isi adaa ne to "Mahir" ki jaan le li thi!!!!


*******************************************
hothon pe muhabbat ke fasaane nahin aate
saahil pe samundar ke khazaane nahin aate

palakein bhi chamak uthti hain sote mein hamaari
aankhon ko abhi khwaab chupaane nahin aate

dil ujdii hui ik saraaye ki tarah hai
ab log yahaan raat jagaane nahin aate

udney do parindon ko abhi shokh hawa mein
phir laut ke bachpan ke zamaane nahin aate

is shahar ke baadal teri zulfon ki tarah hain
ye aag lagaate hain bujhaane nahin aate

ahbaab bhi gairon ki ada seekh gaye hain
aate hain magar dil ko dukhaane nahin aate!!!


*************************************************

Aisa lagta hai zindagi tum ho
ajnabi jaise ajnabi tum ho

ab koii aarzoo nahin baaki
justajoo meri aakhri tum ho

main zameen par ghana andhera hoon
aasmaano ki chaandani tum ho

doston se wafa ki ummeedein
kis zamaane ke aadmi tum ho!!!!!


2 comments:

Anonymous said...

Kya Baat Hai, I am really impressed.
Wah....Janab

Brittney said...

mast yaar, dil nikal kar rakh diya SEO shayar ne.....@@@